kin dushmanon ka tir banaya gaya hun main
apne hi jism-o-jaan mein utara gaya hun main
jo sab se kaT chuka hun to hairat ki baat kya
ab apne sath bhi kahan paya gaya hun main
ek umr tak to main bhi zamane ke sath tha
kuchh baat hai jo lauT ke ghar aa gaya hun main
wo mah-wash suna hai ki guzrega is taraf
ek kahkashan si rah mein bikhra gaya hun main
KHud apne-ap se bhi kahan tha main mutmain
ab jo zamane tujh ko bhi ras aa gaya hun main
ek saneha sa dafn hun lekin kabhi kabhi
sadiyon ki qabr se bhi uThaya gaya hun main
ab kis tarah main apne labon ko sameT lun
kin aandhiyon ki zad pe chalaya gaya hun main

Ghazal
Kin dushmanon ka tir banaya gaya hun main
Noman Imam