اردو हिंदी
Kin aawazon ka sannaTa mujh mein hai | Shaahi Shayari
kin aawazon ka sannaTa mujh mein hai

Ghazal

Kin aawazon ka sannaTa mujh mein hai

Ayub Khawar

;

kin aawazon ka sannaTa mujh mein hai
jo kuchh bhi tujh mein hai ya mujh mein hai

teri aankhen meri aankhen lagti hain
soch raha hun kaun ye tujh sa mujh mein hai

har mausam ne tere dar par dastak di
aaKHiri dastak dene wala mujh mein hai

dil ki miTTi lahu bana kar chhoDega
ye jo kanch ka chalta TukDa mujh mein hai

jis dariya ka ek kinara wo aankhen
us dariya ka ek kinara mujh mein hai

khilta hai wo phul abhi ek khiDki mein
jis ko aaKHir-kar mahakna mujh mein hai

jin aankhon ki jhilen kanwal khilati hain
rang sunahra un jhilon ka mujh mein hai