اردو हिंदी
Kita kahin pukar ai ghafil biya biya | Shaahi Shayari
kita kahin pukar ai ghafil biya biya

Ghazal

Kita kahin pukar ai ghafil biya biya

Alimullah

;

kita kahin pukar ai ghafil biya biya
phirta hai kyun tu bhul apas ka piya piya

bujha hai kyun ajal ko apas se baid kar
ghaflat mein chup umar ko tu zae kiya kiya

ab to samajh Tuk ek tera jaan kaun hai
papa hai ji ko jis ne mua nahin jiya jiya

lekin nahin hai kaam har ek KHam ka yahan
aashiq wahi hua hai ki jo sar diya diya

pahuncha hai jo ki ishq mein manzil ko wasl ki
be-shak sakal jahan mein hua be-riya riya

jo kui qadam ko apne rakha rah-e-ishq mein
kahte hain aashiqan ki wo manzil liya liya

donon jahan se kaam nahin mujh ko ai 'alim'
bas hai mujhe karim diya so hiya hiya