اردو हिंदी
Kijiye zulm saza-war-e-jafa hum hi hain | Shaahi Shayari
kijiye zulm saza-war-e-jafa hum hi hain

Ghazal

Kijiye zulm saza-war-e-jafa hum hi hain

Mushafi Ghulam Hamdani

;

kijiye zulm saza-war-e-jafa hum hi hain
khinchiye tegh ki muddat se fida hum hi hain

tafta-dil soKHta-jaan chaak-jigar KHak-basar
kya kahen masdar-e-sad-guna-bala hum hi hain

nahin mauquf dua apni to kuchh baad-e-namaz
baiThte uThte jo mangen hain dua hum hi hain

ye bhi koi tur se Tuk jalwa dikha chhup jaana
aur bhi log hain tarsane ko kya hum hi hain

wo jo kahlate the zin-pesh tere yaron mein
jaan-e-man ab to hamein bhul gaya hum hi hain

na barahman ki mashiKHat hai na ruhban ki qadr
ab to is mai-kade mein nam-e-KHuda hum hi hain

ishwa-o-naz tera hum se yahi kahta hai
nahin karte jo kabhi tir KHata hum hi hain

be-nawaon ki tarah aa ke tere kuche mein
wo jo kar jate hain ek roz sada hum hi hain

aadhi raat aae tere pas ye kis ka hai jigar
chaunk mat itna ki ai hosh-ruba hum hi hain

'mushafi' Tal gae sab marka-e-ishq ke bich
wo jo Thahre rahe hain ek zara hum hi hain