kijiye na asiri mein agar zabt nafas ko
de aag abhi shoala-e-awaz qafas ko
bah jawe lahu ho ke dil-e-qafila-salar
talim de nala jo mera bang-e-jaras ko
pahunche hai nam-e-dagh-e-jigar ta sar-e-mizhgan
shadab main rakhta hun sada aag se KHas ko
phirta hai udhar zulf mein shana to idhar dil
ye duzd na laya kabhu KHatir mein asas ko
ai ishq na farhad bacha tujh se na parwez
ba-KHak barabar tu kiya na-kas-o-kas ko
le sakte nahin sans teri ku ke muqayyad
ta KHun-e-jigar bich na ghota den nafas ko
targhib na kar sair-e-chaman ki hamein 'sauda'
har-chand hawa KHub hai wan lek hawas ko

Ghazal
Kijiye na asiri mein agar zabt nafas ko
Sauda Mohammad Rafi