ki tu ne lab-kushai to kis ke huzur ki
ab kirchiyan sameT dil-e-na-subur ki
kis ke lahhu mein sham naha kar hai surKH-ru
kis ne chukai KHun se qimat ghurur ki
sadiyon se kis ki qabr pe girya-kunan hai raat
leTa hai kaun oDh ke chadar ye nur ki
ilm-o-kamal aap ki miras kya kaha
parten na kholiye mere tahtush-shuur ki
taqdir jitna chahe mujhe dar-ba-dar kare
miTTi se KHu na jaegi burhan-pur ki
phir ba-adab hain lafz-o-maani mere huzur
phir fauj utar rahi hai KHayal-e-tuyur ki
tafhim aan-janab ye 'ghaalib' ka sher hai
kuchh an-kahi bataiye bainassutur ki
hum KHud se ham-kalam hoe kam nahin 'nadim'
jawen kalim sair karen koh-e-tur ki

Ghazal
Ki tu ne lab-kushai to kis ke huzur ki
Nadeem Fazli