ki thi jis ko shakl-e-mahbubi ata
sar usi patthar se zaKHmi ho gaya
har ghaDi rahta tha aaina-ba-dast
KHud-satai ke siwa karta bhi kya
ho gaya jab us ko idrak-e-jahan
toD kar aaina us ne rakh diya
wo hua hai pairahan ka yun asir
khul ke ab hansna bhi mushkil ho gaya
is se baDh kar aur kya ho us ka wasf
aadmi taKHliq-o-takmil-e-KHuda
us ko bahar ki KHabar kya bich mein
khinch kar baiTha hua hai daera
hai yahan na-paid KHatt-e-mustaqim
zindagi hai pech-o-KHam ka silsila
Ghazal
Ki thi jis ko shakl-e-mahbubi ata
Adeeb Suhail