ki talab ek shah ne kuchh pand az-hakim-e-nukta-dan
us ne sun ke yun kaha ai sahib-e-iqbaal-o-shan
yaad rakh aur pas rakh aur saKHt rakh aur jama kar
kha chhupa, kaT aur uTha, de le, ba-KHubi har zaman
us ne is mujmal ke tafsilat jab puchhe to phir
lutf se us nukta-ras ne yun kiya is ka bayan
yaad rakh har dam KHuda ko pas rakh husn-e-wafa
saKHt rakh din ko mudam aur jama kar ilm ai jawan
kha ghazab-ghussa chhupa aib-e-rafiq-o-ashna
kaT rabt-e-ham-nashin-e-bad ki hai is mein ziyan
aur uTha har dam zaif-o-na-tawan se zulm-o-jaur
dad mazlumon ki de aur le bahisht-e-jawedan
nasr mein mujh ko 'nazir' aae the ye nukte nazar
main ne nazm in ko kiya to dil ho har dam shadman
Ghazal
Ki talab ek shah ne kuchh pand az-hakim-e-nukta-dan
Nazeer Akbarabadi