ki shab-e-hashr meri sham-e-jawani tum ne
chheDi kis daur ki kis waqt kahani tum ne
maani-o-lafz mein jo rabt hai main jaan gaya
khole is tarah se asrar-e-maani tum ne
meri aankhon hi mein the an-kahe pahlu us ke
wo jo ek baat suni meri zabani tum ne
meri tariKH ne daim tumhein baqi samjha
rakkha har daur mein daim mujhe fani tum ne
main to har dhup mein sayon ka raha hun juya
mujh se likhwai sarabon ki kahani tum ne
meri har baat mein sau aib the har aib mein shaKH
ye ghanimat hai meri qadr bhi jaani tum ne
Ghazal
Ki shab-e-hashr meri sham-e-jawani tumne
Mukhtar Siddiqui