اردو हिंदी
Ki mai se hazar bar tauba | Shaahi Shayari
ki mai se hazar bar tauba

Ghazal

Ki mai se hazar bar tauba

Sardar Genda Singh Mashriqi

;

ki mai se hazar bar tauba
rahti nahin barqarar tauba

tum mai se karo hazar bar tauba
tum se ye nibhe qarar tauba

bandon ko gunah tabah karte
hoti na jo gham-gusar tauba

hoti hai bahaar mein muattal
karte hain jo mai-gusar tauba

maqbul ho kyun na gar karen hum
ba-dida-e-ashk-bar tauba

hogi kabhi 'mashriqi' na qubul
piri mein karo hazar tauba