ki hai koi hasin KHata har KHata ke sath
thoDa sa pyar bhi mujhe de do saza ke sath
gar Dubna hi apna muqaddar hai to suno
Dubenge hum zarur magar naKHuda ke sath
manzil se wo bhi dur tha aur hum bhi dur the
hum ne bhi dhul uDai bahut rahnuma ke sath
raqs-e-saba ke jashn mein hum tum bhi nachte
ai kash tum bhi aa gae hote saba ke sath
ikkiswin sadi ki taraf hum chale to hain
fitne bhi jag uTThe hain aawaz-e-pa ke sath
aisa laga gharibi ki rekha se hun buland
puchha kisi ne haal kuchh aisi ada ke sath
Ghazal
Ki hai koi hasin KHata har KHata ke sath
Kaifi Azmi