ki aah hum ne lekin us ne idhar na dekha
is aah mein to hum ne kuchh bhi asar na dekha
kya kya bahaaren aain kya kya daraKHt phule
naKHl-e-dua ko lekin main barwar na dekha
hargiz hua na yaro wo shoKH yar apna
zin pesh warna hum ne kya kya ki kar na dekha
rahte hain kya bhala wan aafat-zade hi sare
us kuche mein kisi ka aabaad ghar na dekha
pahuncha gali tak us ke aage khaDa raha main
aage qadam ke rakhte phir nama-bar na dekha
do do pahar tak us ke aage khaDa raha main
par us ne zid ke mare bhar kar nazar na dekha
kya faeda rakkhe hai bas ab zyaada mat ro
rona tera kisi ne ai chashm-e-tar na dekha
kal yar ki gali mein DhunDa jo 'mushafi' ko
ek lash to paDi thi par us ka sar na dekha
Ghazal
Ki aah humne lekin usne idhar na dekha
Mushafi Ghulam Hamdani