اردو हिंदी
Kidhar rawan hai mera karwan nahin malum | Shaahi Shayari
kidhar rawan hai mera karwan nahin malum

Ghazal

Kidhar rawan hai mera karwan nahin malum

Raghunath Sahai

;

kidhar rawan hai mera karwan nahin malum
nasib le ke chala hai kahan nahin malum

hamara KHirman-e-dil bhi to jal chuka yarab
giregi ab kahan barq-e-tapan nahin malum

bas ek nigah-e-mohabbat se un ko dekha tha
hain mujh se kis liye wo bad-guman nahin malum

bane hain aaj wahi muntazim gulistan ke
ki jin ko farq-e-bahaar-o-KHizan nahin malum

adu thi barq na dushman tha baghban apna
jalaya kis ne mera aashiyan nahin malum

bahaar mujh se hai main pasban-e-gulshan hun
mera maqam tujhe baghban nahin malum

dil-e-'umid' bhi tha jis ke sath sath rawan
kahan pe luT gaya wo karwan nahin malum