اردو हिंदी
Kidhar ka tha kidhar ka ho gaya hun | Shaahi Shayari
kidhar ka tha kidhar ka ho gaya hun

Ghazal

Kidhar ka tha kidhar ka ho gaya hun

Aazim Kohli

;

kidhar ka tha kidhar ka ho gaya hun
musafir kis safar ka ho gaya hun

KHuda us ko sada pur-nur rakkhe
main tara jis nazar ka ho gaya hun

dhare jaenge sab ilzam mujh par
main hissa har KHabar ka ho gaya hun

mujhe ayyariyan sab aa gai hain
main ab tere nagar ka ho gaya hun

teri nazron ke ek farman hi se
main qaidi umr bhar ka ho gaya hun

mujhe ab ishq miTTi se nahin hai
main aashiq mal-o-zar ka ho gaya hun

riwayat chhoD baiTha hun main apni
main dushman apne ghar ka ho gaya hun

wo jis ko shaeri kahte hain 'azim'
main ghayal us hunar ka ho gaya hun