kidhar jaiye aur kahan baiThiye
parichita nahin dil jahan baiThiye
main dekha tumhein KHub parde mein ab
zara aur ho kar nihan baiThiye
khaDe dekhte kya ho phir aaiye
karam kijiye mehrban baiThiye
abhi se kahan uTh chale koi dam
ghanimat hai sohbat miyan baiThiye
tere hathon se ai jafa-e-falak
bata tu hi chhup kar kahan baiThiye
biThaya mujhe tum ne zindan mein KHub
main baiTha bas ab dostan baiThiye
tum aankhon mein kya baiThte ho meri
ba-pahlu-e-dil misl-e-jaan baiThiye
nahin baiThne ki tumhaare wo ja
idhar aaiye ab yahan baiThiye
na pahunchoge manzil ko tum 'mushafi'
gaya dur ab karwan baiThiye
Ghazal
Kidhar jaiye aur kahan baiThiye
Mushafi Ghulam Hamdani