kidhar hai aaj ilahi wo shoKH chhal-baliya
ki jis ke gham se mera dil hua hai bawaliya
tamam goron ke hairat se rang uD jate
jo ghar se aaj nikalta wo mera sanwaliya
tujhe KHabar nahin bulbul ke bagh se gulchen
baDi si phulon ki ek bhar ke le gaya Daliya
'nazir' yar ki hum ne jo kal ziyafat ki
pakaya qarz manga kar polaw aur quliya
so yar aap na aaya raqib ko bheja
hazar haif hum aise nasib ke baliya
idhar to qarz hua aur adhar na aaya yar
pakai khir thi qismat se ho gaya daliya
Ghazal
Kidhar hai aaj ilahi wo shoKH chhal-baliya
Nazeer Akbarabadi