kibriyai ki ada tujh mein hai
garche tu but hai KHuda tujh mein hai
shoKHi o naz-o-ada tujh mein hai
ya ye ek qahr-e-KHuda tujh mein hai
munh chhupata hai tu aaine se
kis qadar sharm-o-haya tujh mein hai
KHair-bashad ki mere KHun ki si
surKHi ai rang-e-hina tujh mein hai
puchh leta hai tu auron se mujhe
bare itni to wafa tujh mein hai
gul hai behaal ye kis gesu ki
nikhat ai baad-e-saba tujh mein hai
dil ko khinche hai teri zulf-e-siyah
sehr jadu ki bala tujh mein hai
ho na ai KHak ke putle maghrur
is pe tu ye jo hawa tujh mein hai
sab ye naqsha hai tera aaryati
ek zara soch to kya tujh mein hai
tu jo yun gul ko bana deti hai
kuchh to ai baad-e-saba tujh mein hai
'mushafi' se tu mila de us ko
ye asar dast-e-dua tujh mein hai
Ghazal
Kibriyai ki ada tujh mein hai
Mushafi Ghulam Hamdani