ki KHud insan Dhalta ja raha hai
khalanDara sa koi bachcha hai dariya
samundar tak uchhalta ja raha hai
na kuchh kahta na kuchh sunta hai koi
faqat pahlu badalta ja raha hai
idhar milti nahin sanson se sansen
zamana hai ki chalta ja raha hai
nahin us ko khilaunon ki zarurat
wo ab KHud hi bahalta ja raha hai
makanon mein nae rauzan bana lo
hawa ka ruKH badalta ja raha hai
'najib' ab to sharar-e-be-hisi se
tera chehra pighalta ja raha hai

Ghazal
Ki KHud insan Dhalta ja raha hai
Najeeb Ahmad