اردو हिंदी
Ki is se pahle KHizan ka shikar ho jaun | Shaahi Shayari
ki is se pahle KHizan ka shikar ho jaun

Ghazal

Ki is se pahle KHizan ka shikar ho jaun

Gautam Rajrishi

;

ki is se pahle KHizan ka shikar ho jaun
saja lun KHud ko mukammal bahaar ho jaun

utarne ko pahaDon se dhup ghaTi mein
main koi chiD koi dewdar ho jaun

nahin hun tujh se main wabasta ai jahan lekin
ye sochta hun ki ab hoshiyar ho jaun

na bhae log yahan ke na shahr hi ye mujhe
magar main KHud se hi kaise farar ho jaun

bhale hon taish mein lahren magar kise parwah
main kud jaun to dariya ke par ho jaun

koi jawab to suraj ke zulm ka bhi ho
main barishon ki jo ThanDi phuwar ho jaun