KHyal-e-bad se hama-waqt ijtinab karo
faza-e-shahr ko danista mat KHarab karo
jahan mein aae ho do din ki zindagi le kar
har ek mahaz pe tum us ko kaamyab karo
tamam shahr hai Duba hua andhere mein
tum apne chand se chehre ko be-naqab karo
idhar KHulus udhar bughz aur nafrat hai
aziz kya hai tumhein is ka intiKHab karo
jo tum ne mujh ko diya aur main ne tum ko diya
tum us ka baiTh ke chaupal mein hisab karo
hijab azmat-e-insaiyat ka zamin hai
raho kahin bhi pa pabandi-e-hijab karo
agar watan se mohabbat hai tum ko ai 'ibrat'
to paida azm se tum sabz inqalab karo
Ghazal
KHyal-e-bad se hama-waqt ijtinab karo
Ibrat Bahraichi