اردو हिंदी
KHwariyan badnamiyan ruswaiyan | Shaahi Shayari
KHwariyan badnamiyan ruswaiyan

Ghazal

KHwariyan badnamiyan ruswaiyan

Mushafi Ghulam Hamdani

;

KHwariyan badnamiyan ruswaiyan
ishq ne shaklen ye sab dikhlaiyan

wo hi kin baaten jo tujh ko bhaiyan
bal be ai zalim teri KHud-raiyan

mar gae lakhon hi aur parwana ki
kya kahun main us ki be-parwaiyan

ek surat ke liye is ishq mein
saikDon surat ki hain ruswaiyan

shauq mein aaghosh-e-tegh-e-naz ke
zaKHm-e-dil lete hain sab angDaiyan

hum se puchhe koi uzlat ka maza
gosha-e-sahra hai aur tanhaiyan

dil mushabbak surat-e-baadam hai
barchhiyan palkon ki kis ki khaiyan

KHana-e-dil par hamare ya nasib
baadalon ne bijliyan barsaiyan

'mushafi' bhi hai phankaiton mein miyan
yaad hain us ko bhi kitni ghaiyan