اردو हिंदी
KHwar-o-ruswa na sar-e-kucha-o-bazar mile | Shaahi Shayari
KHwar-o-ruswa na sar-e-kucha-o-bazar mile

Ghazal

KHwar-o-ruswa na sar-e-kucha-o-bazar mile

Makhmoor Saeedi

;

KHwar-o-ruswa na sar-e-kucha-o-bazar mile
hai yahi ishq ka eazaz sar-e-dar mile

zindagi se ye raha apni mulaqat ka haal
kisi bezar se jaise koi bezar mile

hum se pahle bhi ye afsana bayan hota tha
kitne gham phir bhi hamein tishna-e-izhaar mile

zindagi ne koi aaina dikhaya jab bhi
apne chehre pe hamein maut ke aasar mile

fikr-e-tabir mein nind uD gai diwanon ki
KHwab apne hi un aankhon mein jo bedar mile

muskuraate hue chehron pe na jao 'maKHmur'
shayad in mein bhi koi tum sa dil-afgar mile