KHwahishon ne buna wo jal ab ke
bach nikalna hua muhaal ab ke
Dub jaunga shab ke sath kahin
dekhna tum mera kamal ab ke
main nahin tera KHak-dan mein kahin
dil mein aaya ye kya KHayal ab ke
yaad-e-mazi na KHwab-e-mustaqbil
yun hua hai mera zawal ab ke
chhuTe jate hain hath se patwar
mujh ko mauj-e-rawan sambhaal ab ke
Ghazal
KHwahishon ne buna wo jal ab ke
Kumar Pashi

