KHwahishon ko sar pe lade yun safar karne lage
log apni zat ko zer-o-zabar karne lage
is junun ka is se behtar aur kya hoga sila
hum KHud apne KHun se daman ko tar karne lage
dhup mein jalte rahe hain sarw ki surat magar
ye ghazab hai chand par phir bhi nazar karne lage
doston ne tohfatan baKHshe jo zaKHmon ke gulab
un ki bu mahsus hum aaThon-pahar karne lage
yun badan mein KHun ko azm-e-safar ka ho junun
dil ke dariya mein wo phir paida bhanwar karne lage
reza reza ho na jaen aks shishon ke kabhi
ab talash-e-sang KHud hi shishagar karne lage
phul-patton ka unhen phir hosh kya baqi rahe
jin daraKHton ko hawa zer-o-zabar karne lage
zindagi hai bojh gar KHud ko badal kuchh is tarah
zindagi tere liye KHud hi safar karne lage
baDh gaya hai is qadar ehsas-e-mahrumi 'shakeb'
log apni zat se kaT kar guzar karne lage

Ghazal
KHwahishon ko sar pe lade yun safar karne lage
Ragib Shakeb