KHwahishon ki baadshahi kuchh nahin
dil mein shauq-e-kaj-kulahi kuchh nahin
kyun adalat ko shawahid chahiyen
kya ye zaKHmon ki gawahi kuchh nahin
subh likkhi hai agar taqdir mein
raat ki phir ye siyahi kuchh nahin
soch apni zat tak mahdud hai
zehn ki kya ye tabahi kuchh nahin
zarf shamil hai hamare KHun mein
ye tumhaari kam-nigahi kuchh nahin
hans ke milta hai umuman wo 'azim'
is tarah jaise hua hi kuchh nahin
Ghazal
KHwahishon ki baadshahi kuchh nahin
Tahir Azeem