KHwahishon ke hisar se niklo
jalti saDkon pe nange panw phiro
raat ko phir nigal gaya suraj
sham tak phir idhar udhar bhaTko
sharm peshaniyon pe baiThi hai
ghar se niklo to sar jhukae raho
mangne se hua hai wo KHud-sar
kuchh dinon kuchh na mang kar dekho
jis se milte ho kaam hota hai
be-gharaz bhi kabhi kisi se milo
dar-ba-dar KHak uDai hai din bhar
ghar bhi jaana hai hath munh dho lo
Ghazal
KHwahishon ke hisar se niklo
Fazl Tabish