اردو हिंदी
KHwahish se kahin koi mahaul badalta hai | Shaahi Shayari
KHwahish se kahin koi mahaul badalta hai

Ghazal

KHwahish se kahin koi mahaul badalta hai

Saifi Premi

;

KHwahish se kahin koi mahaul badalta hai
dil shama ka jalta hai tab mom pighalta hai

dekhen to charaghon ko ab kaun bujhaega
taqon mein lahu apna har raat ko jalta hai

socha hai ki kuchh din ko begana hi ban jaen
hum apna jise samjhen begana nikalta hai

ab saKHt zarurat hai mai-KHana badalne ki
har lab ke liye saqi paimana badalta hai

jis rah se wo guzren har gam bahaaran ho
ek jism nahin chalta mahaul bhi chalta hai

ai dost tere dar tak phaili hain kamin-gahen
dil ek musafir hai girta hai sambhalta hai

hum hijr mein jab jage thi raat bahut 'saifi'
didar ka har mausam lamhat mein Dhalta hai