KHwahish-o-KHwab ke aage bhi kahin jaana hai
ishq ke bab se aage bhi kahin jaana hai
kyun nahin chhoDti aaKHir mujhe duniya-dari
mal-o-asbab se aage bhi kahin jaana hai
dene wale tu mujhe nind na de KHwab to de
mujh ko mahtab se aage bhi kahin jaana hai
jaane kyun rok rahi hai mujhe ashkon ki qatar
chashm-e-pur-ab se aage bhi kahin jaana hai
kyun lipaTta hai mere sath ye dariya aaKHir
mujh ko girdab se aage bhi kahin jaana hai
Ghazal
KHwahish-o-KHwab ke aage bhi kahin jaana hai
Azim Haidar Syed