KHwahish ko apne dard ke andar sameT le
pardaz bar-e-dosh hai tu par sameT le
apni talab ko ghair ki dahliz par na Dal
wo hath khinch gaya hai tu chadar sameT le
surKHi tulu-e-subh ki lauh-e-ufuq pe likh
sare badan ka KHun jabin par sameT le
yakja nahin kitab-e-hunar ke waraq hanuz
ayyam-e-harf-harf ka daftar sameT le
jo peD hil chuke hain unhen aandhiyon pe chhoD
shayad hawa ye rah ke patthar sameT le
zinda lahu to shahr ki galiyon mein hai rawan
'shahid' ragon mein kaun ye mahshar sameT le

Ghazal
KHwahish ko apne dard ke andar sameT le
Saleem Shahid