KHwahish hamare KHun ki labrez ab bhi hai
kuchh narm paD gai hai magar tez ab bhi hai
is zindagi ke sath buzurgon ne di hamein
ek aisi maslahat jo shar-angez ab bhi hai
haalanki iztirab hai zahir sukun se
kya kije us ka lahja dil-awez ab bhi hai
muddat hui shabab ke charche the shahr mein
wo zafrani rang sitam-KHez ab bhi hai
'ashhar' bahut si pattiyan shaKHon se chhin gain
tafsir kya karen ki hawa tez ab bhi hai
Ghazal
KHwahish hamare KHun ki labrez ab bhi hai
Iqbal Ashhar Qureshi