KHwahish-e-wasl ne ushshaq ko ruswa rakkha
husn ne dilkash-o-KHush-rang sarapa rakkha
apne kirdar ke daghon ko chhupane ke liye
mere aamal pe tanqid ko barpa rakkha
mere na-karda gunahon ki numaish ke liye
mujh ko zindan mein laga kar baDa tala rakkha
saf inkar na karne ke badal zalim ne
meri dil-bastagi ko wada-e-farda rakkha
kaun si chiz girani ki bulandi pe nahin
KHun-e-nahaq magar is daur ne sasta rakkha
kar ke mahrum unhen aab-e-rawan se hum ne
nam be-ab guzargahon ka dariya rakkha
apne qad se mera qad dekha nikalta jo 'tuhur'
kar ke sar mera qalam apna sar uncha rakkha
Ghazal
KHwahish-e-wasl ne ushshaq ko ruswa rakkha
Raeesuddin Tahoor Jafri