اردو हिंदी
KHwahish-e-wasl ko qalil na kar | Shaahi Shayari
KHwahish-e-wasl ko qalil na kar

Ghazal

KHwahish-e-wasl ko qalil na kar

Mushtaq Ahmad Noori

;

KHwahish-e-wasl ko qalil na kar
shab-e-hijran ko ab tawil na kar

main ne tujh ko rakha sar-ankhon par
zindagi tu mujhe zalil na kar

jis ka ji chahe pi le ji bhar ke
itni sasti kabhi sabil na kar

apne nam-o-nishan miTata chal
naqsh-e-pa ko tu sang-e-mil na kar

nind ki wadiyon mein raat guzar
arsa-e-KHwab ko qalil na kar

tera muhtaj umr bhar main rahun
ai KHuda mujh ko KHud-kafil na kar

raat ki aankh band hone lagi
dastan ko bahut tawil na kar

main ne to ashk pi liya 'nuri'
apni aankhon ko tu bhi jhil na kar