KHwahish-e-taKHt na ab dirham-o-dinar ki gunj
wadi-e-chashm mein hai hasrat-e-didar ki gunj
zaKHm-dar-zaKHm suKHan aur bhi hota hai wasia
ashk-dar-ashk ubharti hai qalamkar ki gunj
kash meri bhi samaat ko Thikana de de
dasht-e-mahshar mein tere saya-e-diwar ki gunj
aahaTen bhi nahin karte mere aamal kabhi
ek aawaz nihan hai mere kirdar ki gunj
jab bahut ghaur kiya hai to sunai di hai
muflis-e-shahr ki chup mein kisi zardar ki gunj
jis ne sukhi hui miTi se banae kuze
shahr-e-zamzam se uThi hai usi fankar ki gunj
ek muddat se bhaTakti hui phirti hai 'salim'
kucha-e-dil mein mohabbat ke talab-gar ki gunj
Ghazal
KHwahish-e-taKHt na ab dirham-o-dinar ki gunj
Saleem Siddiqui