KHwahish-e-mewa-e-tar ho ye zaruri to nahin
har koi KHuld-badar ho ye zaruri to nahin
tesha-e-gam ko sanam-sazi-e-hasti se gharaz
sang wabasta-e-dar ho ye zaruri to nahin
main hun aaluda ba-KHun-e-jigar-o-KHak-e-jahan
wo teri rahguzar ho ye zaruri to nahin
kuchh jamal-e-kam-o-kaj-bini-e-KHush-chashm bhi hai
sab tera husn-e-nazar ho ye zaruri to nahin
ai hunar-mand-e-jarahat talab-e-KHama tujhe
dawa-e-zaKHm-e-hunar ho ye zaruri to nahin
randa-e-halqa-e-aghosh pas andesha-e-jamal
tera manzur-e-nazar ho ye zaruri to nahin
lafz-e-sir mein mere erab taraaz-e-muKHlis
zer ki ja pe zabar ho ye zaruri to nahin
ye bhi malzum nahin to ho giraftar-e-KHirad
mujh ko bhi apni KHabar ho ye zaruri to nahin
baad-e-taqrib-e-tamannai-e-nazzara-e-tur
taqat-o-tab-e-nazar ho ye zaruri to nahin
aalam-e-be-KHudi-e-ishrat-e-be-ghayaty hai
ruh masrur magar ho ye zaruri to nahin
hai mai-e-shauq mein aamezish-e-talKHab-e-guman
phir bhi taKHfif-e-asar ho ye zaruri to nahin
dil ba-afzaish-e-KHuddari-e-ahang-e-suKHan
KHaef-e-ahl-e-nazar ho ye zaruri to nahin
piri-e-ishq se hun sehat-e-mashuq-shikar
dil tawana-e-jigar ho ye zaruri to nahin
surat-e-qurb-e-musalsal bhi nikal sakti hai
baam par umr basar ho ye zaruri to nahin
bas ki ek waswasa-e-barg-e-KHizan-dida hai
KHuld-e-imkan mein shajar ho ye ye zaruri to nahin
inhisar-e-gham-e-hasti ba-gham-e-marg-e-hawas
'hadis'-e-KHak-basar ho ye zaruri to nahin

Ghazal
KHwahish-e-mewa-e-tar ho ye zaruri to nahin
Hadis Salsal