KHwahan tere har rang mein ai yar hamin the
yusuf tha agar tu to KHaridar hamin the
be-dad ki mahfil mein saza-war hamin the
taqsir kisi ki ho gunahgar hamin the
wada tha hamin se lab-e-baam aane ka hona
saye ki tarah se pas-e-diwar hamin the
kanghi teri zulfon ki hamin par thi muqarrar
aaina dikhate tujhe har bar hamin the
neamat thi tere husn ki hisse mein hamare
tu kan-e-malahat tha KHaridar hamin the
sauda-zada zulfon ka na tha apne siwa ek
aazad do-alam tha giraftar hamin the
tu aur hum ai dost the yak-jaan do qalib
tha ghair siwa apne jo tha yar hamin the
bimar-e-mohabbat tha siwa apne na koi
ek mustahiq-e-sharbat-e-didar hamin the
be apne bahalti thi tabiat na kisi se
dil-soz hamin the tere gham-KHwar hamin the
ek jumbish-e-mizhgan se ghash aata tha hamin ko
do nargis-e-bimar ke bimar hamin the
jab chahte the lete the aaghosh mein tum ko
majbur se rah jate the muKHtar hamin the
hum sa na koi chahne wala tha tumhaara
marte the hamin jaan se bezar hamin the
bad-nam mohabbat ne teri hum ko kiya tha
ruswa-e-sar-e-kucha-o-bazar hamein the
dil Thokaren khata tha na har gam kisi ka
ek KHak mein milte dam-e-raftar hamin the
bhaDkane se 'atish' ko jalane lage ya to
altaf-o-inayat ke saza-war hamin the
Ghazal
KHwahan tere har rang mein ai yar hamin the
Haidar Ali Aatish