KHwah patthar KHwah shisha aadmi
reza reza ho ke bikhra aadmi
lamha lamha dhup se tap kar hua
dasht-e-ghurbat mein sunahra aadmi
ek nai taKHliq ka suraj liye
fikr ke zine se utra aadmi
zindagi ke aaine mein roz-o-shab
dekhta hai apna chehra aadmi
bhar ke aankhon mein sulagti aarzu
barf ki wadi se guzra aadmi
umr bhar karta nahin fash apna raaz
kis qadar hota hai gahra aadmi
saat aisi bhi kabhi aati hai 'naz'
KHud bhi ban jata hai bahra aadmi
Ghazal
KHwah patthar KHwah shisha aadmi
Naz Quadri