KHwah mahsur hi kar den dar-o-diwar mujhe
ghar ko banne nahin dena kabhi bazar mujhe
main ise dast-e-adu mein nahin jaane dunga
sar ki qimat pe bhi mahngi nahin dastar mujhe
main jo chalta hun to aankhen bhi khuli rakhta hun
itna sada bhi na samjhen mere salar mujhe
phir tawazun mein rahegi meri naw kab tak
jab Dubone pe tule hain mere patwar mujhe
ya zamana meri taqlid mein aa niklega
ya kahin ka na rakhenge mere meayar mujhe
ab mera hijr mujhe sath liye phirta hai
jaiye ab koi sathi nahin darkar mujhe
is tarah sochte rahna nahin achchha 'shahzad'
fikr-e-sehhat hi na kar de kahin bimar mujhe

Ghazal
KHwah mahsur hi kar den dar-o-diwar mujhe
Shahzad Qamar