KHwah kar insaf zalim KHwah kar bedad tu
par jo fariyaadi hain un ki sun to le fariyaad tu
dam-ba-dam bharte hain hum teri hawa-KHwahi ka dam
kar na bad-KHuon ke kahne se hamein barbaad tu
kya gunah kya jurm kya taqsir meri kya KHata
ban gaya jo is tarah haq mein mere jallad tu
qaid se teri kahan jaenge hum be-baal-o-par
kyun qafas mein tang karta hai hamein sayyaad tu
dil ko dil se rah hai to jis tarah se hum tujhe
yaad karte hain kare yun hi hamein bhi yaad tu
dil tera faulad ho to aap ho aaina-war
saf yak-bari sune meri agar rudad tu
shad o KHurram ek aalam ko kiya us ne 'zafar'
par sabab kya hai ki hai ranjida o nashad tu
Ghazal
KHwah kar insaf zalim KHwah kar bedad tu
Bahadur Shah Zafar