اردو हिंदी
KHwabon ki tafsil bata kar jaenge | Shaahi Shayari
KHwabon ki tafsil bata kar jaenge

Ghazal

KHwabon ki tafsil bata kar jaenge

Anwar Sadeed

;

KHwabon ki tafsil bata kar jaenge
jo uTThi hai dhul biTha kar jaenge

aap agar chahen to han aaram karen
hum to bas aawaz laga kar jaenge

kahte hain paiman nibhana mushkil hai
hum apna paiman nibha kar jaenge

jazbe ne jo rang nikhaare aankhon mein
un se hum taswir bana kar jaenge

aap ne jo diwar usari nafrat ki
'anwar' ye diwar gira kar jaenge