KHwabon ke sath zehn ki angDaiyan bhi hain
ek raushni bhi hai kai parchhaiyan bhi hain
ye kaenat KHud bhi hai ek paikar-e-jamil
aur kuchh tere jamal ki ranaiyan bhi hain
Duba hua hun qulzum-e-alam mein magar
zer-e-qadam hayat ki parchhaiyan bhi hain
jadu jagati raat ke sayon ke aas-pas
larzan tumhaari yaad ki pahnaiyan bhi hain
aata nahin shabab yunhi kaenat par
masruf kar-e-ishq ki barnaiyan bhi hain
sham-e-bala na mujh se chura is tarah nigah
tanha nahin hun main meri tanhaiyan bhi hain
hain teri anjuman mein hamein ek fasurda-dil
lekin hamin se anjuman-araiyan bhi hain
'hurmat' faqat bulandi-e-ehsas hi nahin
meri talab mein ruh ki gahraiyan bhi hain
Ghazal
KHwabon ke sath zehn ki angDaiyan bhi hain
Hurmatul Ikaram