KHwabon ke mahal TuT ke gir jate hain akasr
phir un se hi din apne sanwar jate hain akasr
ai baad-e-saba un ko ye paigham mera de
kyun chhup ke meri rah se guzar jate hain akasr
duniya mein har ek shai hai faqat teri kami hai
naqshe teri yaadon ke ubhar jate hain akasr
wo naz uThane ke to qael hi nahin hain
phir hum bhi KHafa ho ke biphar jate hain akasr
'kausar' tere mai-KHane mein saghar na subu hai
phir kyun yahan mai-nosh Thahar jate hain akasr

Ghazal
KHwabon ke mahal TuT ke gir jate hain akasr
Naheed Kausar