KHwabon ka guzar dida-e-bedar se hoga
KHushbu ka safar har dar-o-diwar se hoga
phir kasa-e-sar kucha-e-qatil mein sajenge
ye khel to jari rasan-o-dar se hoga
har harf se phuTegi kiran subh-e-junun ki
har bab raqam jurat-e-izhaar se hoga
pahchan sharafat ki zar-o-mal se hogi
mear-e-suKHan jubba-o-dastar se hoga
har subh ki nisbat kisi mazlum se hogi
aaghaz har ek shab ka sitamgar se hoga
'qaisar' tere lafzon ki kasak yaad rahegi
andesha-e-dauran tere ashaar se hoga
Ghazal
KHwabon ka guzar dida-e-bedar se hoga
Qaisar Abbas