KHwab-zadon ka dukh zamini hai
ye haqiqat baDi kamini hai
ai KHuda-e-guman koi tajwiz
marka ab koi yaqini hai
pattharon ke mizaj mein shamil
aabginon pe nukta-chini hai
wo mare samne se uTh jae
jis ka maqsad tamash-bini hai
ghar ki tazin mein sar-e-fehrist
ek aurat ki nukta-chini hai
ek pal ke jamal mein yakja
kai sadiyon ki dil-nashini hai

Ghazal
KHwab-zadon ka dukh zamini hai
Sarfraz Zahid