KHwab ummid se sarshaar bhi ho jae to kya
dasht to dasht hai bazar bhi ho jae to kya
ab kahan koi sitaron ko gina karta hai
mera har zaKHm numudar bhi ho jae to kya
so chuki sham andhere ka hai saya dil par
aaj KHwahish koi bedar bhi ho jae to kya
zindagi apni na badli hai na badlegi kabhi
KHak-e-pa zinat-e-dastar bhi ho jae to kya
manzilen baDhne lagin KHud hi musafir ki taraf
rasta surat-e-diwar bhi ho jae to kya
Ghazal
KHwab ummid se sarshaar bhi ho jae to kya
Muzaffar Abdali