KHwab to KHwab hai tabir badal jati hai
dil ke aaine mein taswir badal jati hai
ab salibon pe kahan gul-shuda shamon ki qatar
aan ki aan mein tahrir badal jati hai
sur to badle hain na badlenge magar waqt ke sath
zulm ke hath mein shamshir badal jati hai
roz banta hai koi aag ke tiron ka hadaf
ret par KHun ki zanjir badal jati hai
dil ke patthar ki lakiren to nahin miT saktin
kashish-e-zulf-e-girah-gir badal jati hai
tinka tinka hai qafas bhi to nasheman ki tarah
han faqat hasrat-e-tamir badal jati hai
in hawaon mein ho dil kis ka nishana 'tanwir'
jab bhi dekho rawish-e-tir badal jati hai
Ghazal
KHwab to KHwab hai tabir badal jati hai
Tanveer Ahmad Alvi