KHwab tabir mein Dhalte hain yahan se aage
aa nikal jaen shab-e-wahm-o-guman se aage
rang pairahan-e-KHaki ka badalne ke liye
mujh ko jaana hai abhi reg-e-rawan se aage
ek qadam aur sahi shahr-e-tanaffus se udhar
ek safar aur sahi kucha-e-jaan se aage
is safar se koi lauTa nahin kis se puchhen
kaisi manzil hai jahan-e-guzaran se aage
main bahut tez hawaon ki guzargah mein hun
ek basti hai kahin mere makan se aage
meri aawargi yun hi to nahin hai 'asim'
koi KHushbu hai meri umr-e-rawan se aage
Ghazal
KHwab tabir mein Dhalte hain yahan se aage
Liyaqat Ali Aasim