KHwab tabir ke asir na the
rahguzar the ye rahgir na the
rahnuma the kabhi wo sach hai magar
ye bhi sach hai ki mere pir na the
hum ne zindan ki baghbani ki
mausam-e-gul ke hum asir na the
patthar aae the aaine ban ke
warna hum itne be-zamir na the
apna andaz-e-zist hai 'paigham'
ye tamashe the na-guzir na the
Ghazal
KHwab tabir ke asir na the
Paigham Aafaqi