KHwab sunne se gae ishq batane se gae
zindagi hum teri tauqir baDhane se gae
ghar ke aangan mein laga peD kaTa hai jab se
hum teri baat parindon ko sunane se gae
juz tujhe dekhne ke aur nahin tha koi kaam
ye alag baat kisi aur bahane se gae
jab se wahshat ne nai shakl nikali apni
hum junun-zad kisi dasht mein jaane se gae
waqt par us ne pahunchne ka kahlwaya tha
hum hi taKHir se pahunche so Thikane se gae
aasman roz mere KHwab mein aa jata hai
hum KHayalon mein hasin chand banane se gae
dil ki tanhai mein wahshat ki daraDen hain 'said'
hum daraDon mein tera hijr basane se gae
Ghazal
KHwab sunne se gae ishq batane se gae
Mubashshir Saeed