KHwab rangon se bani hai yaad taza 
dhup likh lai mubarak yaad taza 
phir baha le jaega lawa lahu ka 
sang-dil par ghar ki rakh buniyaad taza 
aab-e-taza KHanjar-e-KHamosh ko de 
hai burida-lab pe ek fariyaad taza 
be-sutuni phir uThae sang sar hai 
chahti hai ju-e-KHun farhad taza 
be-charaghan bastiyon ko zindagi de 
ek sitam aisa bhi kar ijad taza 
aasman sar par bhi kya qaem nahin hai 
kuchh to kah ai uqda-e-uftad taza 
aisi sangin chup ki dil phaTne laga hai 
kuchh to ai shoala-nawa irshad taza
        Ghazal
KHwab rangon se bani hai yaad taza
Zafar Ghauri

