KHwab pahle le gaya phir rat-jaga bhi le gaya
jate jate wo mere ghar ka diya bhi le gaya
dhup hai ab aur na baadal hai na KHushbu aur na phul
sare mausam le gaya aab-o-hawa bhi le gaya
zindagi ai zindagi tai ho masafat kis tarah
samt-e-manzil le gaya wo rasta bhi le gaya
ek muddat ho gai baiTha hun sang-e-mil par
raston ke sath apne naqsh-e-pa bhi le gaya
hath patthar ho gae lab kapkapate rah gae
wo dua bhi le gaya dast-e-dua bhi le gaya
kaise dekhunga main 'zulfi' apne chehre ki kitab
wo gaya to aarzu ka aaina bhi le gaya
Ghazal
KHwab pahle le gaya phir rat-jaga bhi le gaya
Tasleem Ilahi Zulfi